Media Center

Transcript of Annual Press Conference by External Affairs Minister on completion of 3 years of Government

June 08, 2017

Official Spokesperson, Shri Gopal Baglay: Namashkar. Aap sab ka swagat hai. Good afternoon, a very warm welcome to all of you.

Aaj hamare beech hamari Videsh Mantri Mananeeya Smt. Sushma Swaraj upasthit hain unke vaarshik patrakaar sammelan ke liye. Aaj ka ye vieshesh patrakaar sammelan Mananeeya Videsh Mantri mahodayaa ke saath, jaisa ki aap jaante hain Sarkar apne karyakaal ke teen saal poore kar chuki hai isliye is avsar par jaisa ki pichhale saal bhi hua tha, maanneeya Videsh Mantri hamare beech hain, apne sahyogi Videsh Rajya mantriyon aur videsh sachiv ji ke saath hi Videsh Mantralaya ke anya sachiv aur varishth adhikari yahan par hain, main un sabka aur aap sabhi media ke mitron ka sawagat karta hoon.

Hum is patrakar sammelan ka aarambh karenge maananeeya Videsh Mantri ke vaktavya se, uske baat hum aap sab se prashn lenge jinke uttar Videsh Mantri mahodaya dengi. In prashno ke baare mein main aapko bata doon jis se ki adhik se adhik logon ko mauka mil sake, isliye hum ye prarthna karenge ki ek patrakaar ek hi sawaal poochhe aur us ek sawaal ke koi bhaag na ho. Doosara nivedan ye hai ki kisi bhi ek vishay par 5 sawaal tak poochhe ja sakte hain taaki sabhi vishayon ko sammilit kiya ja sake. Dhanyawaad.

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Dhanyawaad Gopal. Sabse pehle to aaj ki is press conference mein main aap sabka hriday se swagat karti hoon. Jaisa abhi Gopal bata rahe they ki is Sarkar ne ye parampara shuru ki hai ki kaaryakaal ke har ek varsh ki samaapti ke baad, har mantri apne-apne mantralay ki uplabdhiyon ka byora press ke maadhyam se desh ke saamne rakhega, meri ye aaj ki press conference bhi usi shrinkhla mein aayojit ki gaii hai.

Main sabse pehle ye kahna chahungi ki teen saal baad aapke beech mein hazir hui hoon aur beech ke antraal mein ye kaam pehle Syed Akbaruddin Ji uske baad Vikas Swarup aur ab utni hi kushalta se Gopal Baglay nibha rahe hain. Main varsh mein ek baar ye vistrat press conference karti hoon jo 2015 mein bhi ki aur 2016 mein bhi ki. Aaj main is baat se shuru karna chahungi ki is sachhai ko to aap log sweekar karenge ki gareeb kalyan ke kaaryakramon aur saahsik faisalon ke kaaran hamaari Sarkar ki lokpriyta desh mei bahut tezi se badh rahi hai, main Videsh Mantri ke naate usmein ye jodna chahungi ki vishwa mei bhi Bharat ka prabhutv utni hi tezi se badh raha hai. Aaj hamare Pradhanmantri ki ginti duniya mei agrani khade hue netaon mein hoti hai.

Aaj Bharat vaishvik agenda tai karne mein apni bahut pramukh bhumika nibha raha hai. Aaj videshon mei base hue bharatiyon ka manobal bahut uncha hai aur sankat mein fase hue bharatiyon ka vishwas bahut badhaa hai.

In teen varshon mein Videsh Mantralay ki kaaryshaili mein do mahatvpoorn badlaav aaye hain. Ek, ki gharelu vikas ke kaaryakramon mein pehle baar Videsh Mantralay apni sakriya bhumika nibha raha hai aur doosra, videshon mein base hue bharatiyon ki suraksha hamare dootavason ki prathmikta ban gai hai.

Jahan tak pahle badlaav ka sawal hai bhale hi hamare flagship program mein Make in India ho, Skill India ho, Digital India ho, Clean India ho, Smart Cities ho, in sab mein Bharat ke Raajdoot itne sakriya hain ki yadi kewal aap sirf FDI ke aankade ki tulna karein to UPA ke teen antim varsh aur hamaari Sarkar ke ye teen varsh, in dono ki tulna mein aap paayenge ki FDI mein 37.5 percent badhottari hui hai, This is a record. Aur kewal wo videshi poonji nivesh lane mein apni bhumika nahin nibhate balki jo project tai ho jaate hain, Pradhanmantri jinke baare mein MoU sign karke aate hain, unko apne un deshon mein bhi, destination country jahan wo karyarat hain aur Bharat mein bhi un sambandhit mantralayon ke beech mel-jol baitha karke usko aage badhaane ka kaarya karte hain.

Isi tarah jo doosari praathmikta ka badlaav maine bola ki pravaasi bharatiyon ki suraksha unki praathmikta ban gai hai uska kewal ek aankda aapke saamne rakhungi ki pichhale 3 varshon mei lagbhag 80000 log jo sankat mein fase hue they unhe Bharat surakshit laya gaya hai. 80000 log, aur iske liye main teen logon ko dhanyawaad dena chahungi. Sabse pehle Pradhanmantri Ji jinhone khaadi ke deshon ke saath hamare sambandh itne jyada achhe kar diye ki ab wo sahaayta karne ko tatpar rahte hain, doosra mere ye dono sahyogi. Maine bahut soch-vichar kar ke ye kaarya vibhaajan kiya, field ka kaam General ko diya, charcha ka kaam journalist ko diya kyonki khade hokar nikaalne mein ek General wali bhumika chahiye. Aapne dekha hoga chahe wo Operation Raahat ho ya Operation Sankat Mochan ho khud zameen par khade rahkar, kai kai din tak tapati dhoop mein chahe dopahar ho wo kis tarah se vahan se logon ko nikaalkar laaye. Saudi Arab mein waisa sankat nahi tha lekin Saudi Ojar group, Saad Group unke hazaron-hazar log nikalne they, teen-teen baar Saudi Arab ja kar ke, khade hokar ke nikaal kar laaye. Charchaa ka saara kaam hamare sahyogi Akbar ji ko kyonki unko Territorial division diya hai aur General ji ko OIA division diya hai. Saudi Arab ke Foreign Minister se baat karni hai, Dubai ke Foreign Minister se baat karni hai, Qatar mein baat karni hai, to in dono ke sahyog se aur hamaare Raajdooton ki sakriyata, ye teen cheezein jimmedar hain aur uska parinaam hai. Pradhanmantri Ji ke dwara banaye gaye achhe rishte, in dono Rajya Mantriyon ki Sakriyta aur hamaare dootawason ki samvedansheelta, in sabka parinaam hai ki hum 80000 log nikaal kar laaye hain.

Ek aur baat jo batana chahungi ki ismein Operation Maitri ka aankada shaamil nahi hai, jismein alag se 105000 log nikale, ismein Saudi Arab se hone wali amnesty ka aankada shaamil nahi hai, wo alag se 28000 log hain jinko hum facilitate kar rahe hain, ye shuddh un logo ka aankdaa maine rakha hai jo sankat mein fase huye they aur hum log jinko nikaal kar ke laaye hain. To ye jo do mahatvapoorn badlaav hue uske kaaran ye sambhav hua.

Isi tarah se humne aur bhi bahut saari citizen-centric, jise kahte hain naagrikon ki sahuliyat ke liye faisle liye hain, usmein se kewal ek ki charcha karna chaungi aur wo hai passport ki. Passport ki sewaon mein humne sudhaar bhi kiya aur Passport ki sewaon mein humne vistaar bhi kiya. Sudhaar ke naam par sabse badaa kaam hua hai passport ke niyamon ka saralikaran, Simplification of Passport Rules, aur aap shayad chaunk jaayenge ki niyamon ke saralikaran ke baad jab humne pichhale quarter se is quarter ki tulna kii to 50 percent ki badauttari passport mein hui hai, yaani ye niyam itne jatil aur itne kathin, itne avyavhaarik they ki passport milne mein baadhak they. Ek timaari ki doosare timaahi se tulna karwaai maine to paaya ki 50 percent ki badhottari hui.

Isi tarah passport sewaon mein vistaar, jab hamari sarkaar aayi thi to desh mein kewal 77 Passport Sewa Kendra they. Pehle humne aakar unmein 16 badhaaye aur jo vaada aapke saamne kiya tha pehli press conference mein ki sabhi North East ke rajyon ko hum Passport Kendra de denge, usko poora kiya. Lekin uske baad humne ek abhinav pahal ki Department of Post ke saath aur POPSK, Post Office Passport Sewa Kendra ki shuruaat ki. Pehle charan mein 86 ki ghoshna ki aur aaj mujhe bataate hue khushi hai ki unmein se 52 operational ho gaye hain. Doosara charan jiski ki hum turant hi agale do-teen dino mein ghoshna karne wale hain, uski bhi hum ghoshna kar denge.

Mitron, ab main aati hoon ek mukhya baat par ki is baar, jo ghosh vaakya hum banaate hain har varsh ki apni uplabdhiyon ka, pichhale do baar ke aapko yaad honge, lekin is baar ka ghosh vaakya humne rakha hai, Prabhaavi Kootneeti – Uttam Parinaam. Effective Diplomacy – Excellent Delivery. Ab main isko pusht karne ke liye do-ek chhote chhote udaahran aapke saamne rakhna chahti hoon kyonki main chaahti hoon jyada samay aapke liye bache.

Aapko yaad hoga jis samay hamaari Sarkar aai to Videsh neeti ke sameechakon ne, alochakon ne, visheshagyon ne ek baat ek swar se kahi thi ki ab Paschim Asia videsh neeti ke focus se baahar ho jaayega kyonki unko lagta tha ki wahan jyadatar muslim bahul desh hain aur wo to Modi ki praathmikta mein hi nahi rahenge. Main chahungi ki aaj teen varsh baad usko us kasauti par taul kar dekhiye. Agar regional sambandhon ki main tulna karoon to main kah sakti hoon, aur nissandeh kah sakti hoon ki aaj sabse jyada achhe rishte kisi ek region ke saath hain to wo Pashcim Asia ke saath hain.

Saudi Arab mein jab Pradhanmantri gaye to Saudi Naresh ne unhe desh ke sarvochch samman se nawaza, Highest Civil Order unhe pradaan kiya. Abu Dhabi ke Crown Prince, Sheikh Mohammad hamare 26 January samaroh ke mukhya atithi ban kar aaye aur ye dono wo desh hain jo Pakistan ke bahut mitra desh mane jaate hain lekin uske baavjood aaj hamari itni ghanisth mitrata in deshon se hai. Iske saath hi main ek aur baat kahna chahungi ki duniya mein wo desh jo paraspar virodhi bhi hain, ek doosare ke saath jinka 36 ka aankda hai, ye Bharat ki prabhavi Kootneeti ka parinaam hai ki Bharat ke rishte dono deshon se bahut achhe hain. Saudi Arab aur Iran, aapas mein rishton mein kadwaahat hai lekin Bharat Saudi Arab ke saath bhi mitra desh hai aur Iran ka bhi mitra desh hai. Doosara bahut badaa udaaharan hai Israel aur Palestine, varsho se yuddh aur sangharsh chal raha hai. Palestine ke samarthak Israel ka naam lene se katraate hain aur Israel ke samarthak Palestine ka naam lete katraate hain lekin hum saarvjanik roop mein, sansad mein khade ho kar maine kaha ki Israel hamara mitra desh hai ye main sweekar karti hoon lekin hum Palestinian cause ko kabhi bhi let down nahi hone denge aur humne usko nibhaya bhi hai.

Pranab Mukherji Ji Bharat ke pehle Rashtrapati hain jo Palestine aur Israel dono ki yatra karke aaye. Pahli Videsh Mantri hoon main jisne 2016 ki yatra hi praarambh kari Palestine aur Israel se aur pahle Palestine gai aur uske baad Israel gai. Abhi aapne dekha Palestine ke Rashtrapati Mahmood Abbas Bharat aaye aur ab Pradhan mantri Israel ja rahe hain. Israel ko ye maloom hai ki ye Palestinian cause ko kabhi nirash nahi karenge aur Palestine ko bhi ye maloom hai ki Israel inka mitra desh hai. Balki wo ye kahte hain, dono baar, jab main wahan gai tab bhi President Abbas ne ye kaha aur yahan bhi unhone yahi baat kii ki hum to chahte hain ki aap mitra bane rahein aur is mitrata ka laabh uthakar hamara maamla sulajhayein, ye hai unki soch.

Aise kitne udaahran de sakti hoon, abhi Cyprus aur Turkey wale aaye. Aapas mein unke kya sambandh hain ye aap jaante hi hain lekin hamara Turkey se bhi sambandh hai aur Cyprus se bhi sambandh hai aur Turkey ka Pakistan se kya sambandh hai wo bhi aap jaante hain. To isiliye ye thode se udaahran aapke saamne rakh rahi hoon ki agar humne ye ghosh vaakya diya hai, Prabaavi Kootneeti – Uttam Parinaam to hum us kasauti par khare utarte hain. Ant mein main yahi kahna chahungi ki in teen varshon mein Videsh Mantralay ka swarup bhi badla hai aur charitra bhi badla hai. Videsh Mantralay ke kaaryashaili bhi badali hai aur praathmiktayein bhi badali hain aur usi badlaav ka ye parinaam hai ki hamaari Kootneeti bhi prabhaavi hai aur uttam parinaam bhi aa rahe hain. Bahut bahut dhanyawaad. Main chahungi ki Gopal prashnottar ke liye prarambh karein.

Official Spokesperson, Shri Gopal Baglay: Hum log ek ek karke aap logon se sawaal lenge aur aap sabse main nivedan karunga ki aap apna aur apne organization ka naam saath mein avashya bata de.

Question from CNN News18: There is a proposed meeting between Prime Minister Modi and US President Trump later this month. Now with the US pulling out of Paris Accord also accusing India benefitting out of it and other outstanding issues like H1B visa, where do we see this relationship really headed?

Question from Economic Times: Taking a cue from last question, will Asia Pacific and the partnership between India US and the defence relationship will be cementing the ties between the two countries?

Question from The Telegraph: US President Donald Trump when he exited from the Paris agreement last week he used rather harsh words for India. What is our assessment, do we agree with that assessment, if we disagree will we be putting it forward to Donald Trump and how we will be doing so?

Question from Free Press Journal: How do you see that US President saying that India has been receiving billion and billions and billions of dollars. Do you see this as reality or something else?

Question from News Nation: Ek tareeke se jis tarah se US President ne apne aapko pull out karke samooche frame work ko ek dhakka diya hai aur jaahir taur par jo mother nature ki baat hamari taraf se lagaataar kahi jaati rahi hai, is se Bharat aur America ke sambandh kis tarah se prabhavit honge aur Modi aur Trump ke beech ki jo Kootneeti hai usko lekar Bharat Sarkar kya vichaar kar rahi hai?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Paanch prashn hue hain, jinmein se aakhir ke teen prashn hain wo ek doosare se gunthey hue hain aur pehle do aapas mein gunthey hue hain.

Sabse pahle jo prashn hua agar dekha jaaye to wo ek over-arching sawal tha ki Trump prashasan ke aane ke baad Bharat aur America ke sambandh kaise aage badh rahe hain ya badh bhi rahe hain athwa nahi, to sabse pahle main unhe ye batana chahungi ki Trump prashasan aane ke baad Bharat aur America ke sambandhon mein kisi tarah ki koi kami nahi aayi hai, wo usi gati se aagey badh rahe hain jis gati se wo Obama Administration ke samay badh rahe they.

Is baat ki uski pushti karne ke liye main ye batana chahungi ki teen baar to Pradhanmantri Modi ki Rashtrapati Trump se baat hui hai, meri unke Videsh Mantri Tillerson se phone par baat hui hai. Hamare Vitta Mantri Arun Jaitley ki wahan bahut safal yatra hui hai. Hamare NSA ki unke NSA McMaster ke saath bahut achhi baat-cheet hui hai aur hamare Videsh Sachiv jab America yatra par gaye they to unki Interior Minister se, Foreign Minsiter se, Commerce Minister se baatcheet jo hui aur apne samkaksh adhikariyon se bhi jo baat hui in sab se ek sanjha sootra nikal kar aata hai ki Trump prashasan Bharat aur America ke sambandhon ko paarasparik laabh ka sambandh maan raha hai.

The relationship between India and US, they are looking at it as a relationship of mutual benefit.

To ye to aapka over-arching sawaal tha uska maine jawab diya. Ab jo H1B visa ki baat hai, to uske baare mein main ek ye clarity kar doon ki abhi tak sthiti mein koi badlaav nahi aaya hai. 2004 se cap chali aa rahi hai 65000 ki wo abhi bhi utni hi sankhya par hai. Lottery system se naam aur number nikalta hai abhi usmein bhi koi parivartan nahi hua hai aur jo hamare log wahan se PhD karte they unke liye jo 20000 ka quota tha wo bhi barkaraar hai. Haan, chinta jaroor hai kyonki baar-baar is baat ki charcha hoti hai ki ismein sanshodhan kar diya jayega lekin bahut se sansodhan aise hain jo kewal executive order se nahi kiye ja sakte, jiske liye Congress ke anumodan ki jaroorat hai, bill paarit karne ki jaroorat hai, kanoon banaane ki jaroorat hai.

Main aapke maadhyam se desh ko ye aashwasti jaroor dena chahungi ki hum Congress ke saansado se bhi sampark mein hain, Trump prashasan se bhi sampark mein hai. Abhi jab Pradhan Mantri wahan jayenge to bhi jo mudde wahan uthaane wale hain usmein ye ek mudda hai. To abhi tak kisi tarah ka koi parivartan nahi aaya hai lekin hum poori tarah se satark hain ki kisi bhi tarah se koi aisa sansodhan na ho jis se Bharatiya hiton ko dhakaa lage.

Jo Dipanjan ne kaha ki iske kaaran, defence partnership par ya Asia Pacific ki partnership par to koi dhakka nahi lag raha to main kahna chahungi ki bilkul nahi. US India ka major defence partner hai aur jo baatcheet NSA aur McMaster ke beech hui hai uske aadhar par main ye kah sakti hoon ki kisi tarah ka koi sanket US ki taraf se aisa nahi aaya ki wo is relationship ko dilute karna chahte hain, isliye jaisa ki maine pahle hi kaha tha ki pratham do sawal gunthey hue hain aur unka jawaab abhi maine diya.

Aakhir ke teeno sawal ek hi they, Paris samjhaute ko lekar, jal vayu sanrakshan ke sandarbh mein, Khandekar ji ne to bilkul seedhe seedhe pooch liya ki Trump ne jo bola kya wo reality hai. Sabse pehle to main bata doon ki wo bilkul reality nahi hai. Pradhan Mantri bhi kah chuke hain aur main usmein jodkar kahna chahti hoon ki, Bharat ne Paris samjhaute par hastaakshar na to kisi desh ke dabaav mein kiye they aur na kisi desh ke paise ke laalach mei kiye they. Ye lobh ke karan kiye gaye hastaakshar nahi hain, ye bhay ke kaaran kiye gaye hastaakshar nahi hain, ye hamari prayaavaran ke prati pratibaddhata ke kaaran kiye hue hastaakshar hain. Aur jaisa Pradhan Mantri ne kaha ki wo pratibaddhata aaj ki nahi hai, wo 5000 varsh puraani hai. Paryaavaran ki raksha, nadiyon ki puja, parvaton ki puja, vrikshon ki puja, aaj bhi gaon mein jaiye log peepal ko seenchate hain, hum vanaspati ko pranaam karte hain. Ye Indian ethos hain, ye Bharatiya saanskritik dharohar hai. Isliye koi ye kahe ki humne kisi ke paise ke laalach mein aakar Paris samjhaute par hastaakshar kar diye ya koi ye kahe ki humne dabaav mein aa kar kar diye, main in dono aaropon ko sire se khaarij karti hoon aur ye kahti hoon ki humne ye hastaakshar kewal apne commitment ke kaaran kiye hain isliye America usmein rahe ya na rahe Bharat usmein bana rahega.

Question from ANI: How are planning to counter China’s growing ambitions specially in our occupied territories? They are growing huge OBOR and how are we trying to persuade China for NSG?

Question from Congensys:
China has just opposed India’s entry into NSG saying that under the new circumstances it is more complicated so it is not going to back India’s entry into the NSG. How do you react to this?

Question: After a gap of 25 years India has a government with one party having absolute majority in the Lok Sabha and will get there soon in Rajya Sabha which means that this government has a mandate to take hard decision to improve our relations with Pakistan.

Question from CNN News18: PLA has sent a couple of choppers over Uttarakhand and today the MOFA spokesperson in Beijing defended it saying it is disputed territory and that they can send flights to wherever they think it is relevant. I want your thoughts, this has happened in Uttarakhand which is in middle sector and which is peaceful compared to either Tawang side or Siachin side and two, does the government of India intend to raise this, present a representation through the Ambassador in Beijing?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Jo sabse pahla sawaal poocha gaya usmein shabd istemaal kiya gaya, to counter China, Pahle to main aapko ye bataun ki hum koi bhi neeti kisi ko counter karne ke liye nahi banaate hain, hum wo apne hit mein banaate hain. Jahan tak aapne connectivity ki baat kii, CPEC ka sandarbh liya to main ye kahna chahungi ki connectivity to hum in principle agree karte hi hain aur OBOR jab kahin nahi tha, shayad China ne conceptualize bhi nahi kiya tha us samay bhi humne connectivity ke kitne hi kaaryakram apni or se prarambh kar rakhe they. Hamara Kaladaan project connectivity project hai, hamara BBIN project connectivity project hai, hamara BCIN project connectivity hai, hamara North South Corridor connectivity project, hamara Chabahar connectivity project hai.

To Jahan tak connectivity ka sawaal hai us par koi aitraaj nahi hai, sawaal ye hai ki connectivity ke principles kya ho, uske siddhant kya ho. Kya wo consultation ke saath bana hai, kya usmein kisi ki sovereignty to compromise nahi ho rahi, kisi ki territorial integrity to compromise nahi ho rahi, kya wo wakai responsible hai, is tarah ki kuchh siddhant hain jo humne OBOR ke samay rakhe aur mujhe ek baat ki bahut khushi hai ki jab BRF ki meeting hui to bahut se deshon ne inhin chintaon ko, inhi siddhanto ko apni apni bhasha mein wahan rakha hai. Mujhe lagta hai isilye China bhi dobara sochane ke liye majboor hoga aur Jahan tak CPEC ka sawal hai wo seedhe seedhe hamari saarv-bahumikta se, hamari sovereignty se juda hua mudda hai. Kashmir Bharat ka abhinn ang hai ye baat hum 10 bar kah chuke hain, hamare parliament ka resolution hai aur wahan se is sadak ka ek tukda guzare ye hamari sovereignty ko compromise karne waali baat hai jiska poora virodh humne wahan kiya hai.

Doosari baat jo poochhi gai China ke baare mein, unke liye main ye bata doon ki ye theek hai ki do helicopter utare Uttarakhand ke usmein. Zameen par kai baar jab incursions hote hain to wo tark ye dhoondh lete hain ki abhi chunki boundary settlement ki process mein hai isliye bahut baar galati lag jaati hai, hum samajate hain ki ye hamari seema hai isliye hum ismein aa gaye aur bahut baar aapko ye lagta hai ye aapki seema hai, aap usmein aa gaye, magar mil baithkar usko hum suljha lete hain. Pehli baar ye air space mein baat hui hai aur jo aapne kaha ki kya hum issue ko uthayenge, hum nischit hi uthayenge, tareeka kya hoga ye main abhi tai nahi kar sakti. Aapne tareeka sujhaya hai, wo bhi ho sakta hai lekin 101 percent hum ye maamla China ke saath uthayenge.

NSG ke baare mein main aapko bata doon, China ke ye kahta hai ki mera virodh India specifi nahi hai, wo ye kahta hai ki non-NPT countries ko shaamil kiya jaye ya nahi is par mera virodh hai. To uska jawaab hum unhe de chuke hain ki pehle bhi France ko jab shaamil kiya gaya tha wo non-NPT country hi tha. Fir wo kahta hai ki India aur Pakistan dono non-NPT countries hain to waha bhi hum ek differentiate karte hain ki humein 2008 mein alag se ye adhikaar mil gaya aur us samay par poore criteria ko jo non-NPT countries ya NPT countries ke liye hota hai jaancha gaya. Jaanchane par jab hum khare utare tab humein wo adhikar 2008 mein mila. Isliye aaj ka samay hamara criteria jaanchane ka nahi hai, hamari credentials jaancho aur credentials hamare jo humne commitments us samay ki thii usko 100 feesadi nai 101 feesadi humne poora kiya hai. Isiliye hum India aur Pakistan ke comparison mein unko bata rahe hain ki dono cheezein alag alag hain. Rahi baat baatcheet ki to humne China ko hamesha engage kiya hai aur ab bhi NSG ke naate engage kar rahe hain aur kewal humii nahi kar rahe, hamare wo mitra desh jo is se sahmat hain ki NSG ki membership milni chahiye aur unke China se bhi achhe sambandh hain, hum unke maadhyam se bhi ye keh rahe hain. Jaise abhi Pradhan Mantri jab Russia gaye to Russia ne kaha ki wo NSG aur UNSC dono mein aapki sahaayta karta hoon, aur donon ka samarthan karta hoon. Aap NSG ke member hone chahiye aur UNSC ke bhi member hone chahiye to hum chahenge ki Russia aur China ke jab aapsi aachhe rishte hain to Russia unse bhi ye baat kahe. Dabaav daalne ki baat hum nahi karte lekin baatcheet karke unko samjhaane ka silsila, kewal Bharat hi nahi kare, Bharat ke mitra desh bhi karein, is or hum log lage hue hain.

Question from News18:
Bharat Pakistan ke rishton mein is dauraan kaafi utaar-chadhaav aaya hai aur aapse ye jaan na chahenge ki jis utaar chadaav ke beech Bharat aur Pakistan ke rishte chal rahe hain usmein Astana mein jab Pradhan mantri Narendra Modi bhi honge, Nawaz Sharif bhi honge to kya aapko lagta hai ki mulaqat ke liye samay aur jo sthitiyan hain wo anukool hongi. Aur doosari cheez ye ki Pathankot hamle ke baad se Pakistan ne kya koi update diya hai hamein? Wo investigation aaj bhi atka hai ya koi progress hui hai usmein?

Question from Republic TV: I have a similar question. The provocation that have been coming from the Pakistani side specifically on the Kulbhushan Jadhav issue, India went to the ICJ and Pakistan has been raising the issue of jurisdiction. Now Attorney General of Pakistan has spoken to Republic and they have said that they approach the ICJ on the Kashmir issue. Now does India think that Pakistan has any locus standi at all to speak about the Kashmir issue and are you confident that Kulbhushan Jadhav, the innocent Indian man will be saved?

Question from NDTV: My question is similar to what has been asked, Pradhan Mantri abhi Astana jayenge, Prime Minister Nawaz Sharif will also be there. Even if there is no formal meeting that has been set up are you ruling out even an informal interaction between the two leaders even if it is just to discuss this issue of terrorism?

Question from Global Governance News Group: Bharat Pakistan ko lekar ke pichhale 30-40 varshon mein kai tarah ke bayaan aaye, kai tarah ke utaar-chadhaav aaye. Abhi kai sawal aaye, Pathankot ki baat ho, Jadhav ki baat ho ya anya baatein ho, humne apne taraf, se Lahore yatra ki baat hui, Pradhan Mantri ne sadbhav dikhaya Pakistan gaye aur kai is tarak ke humne upkram kiye. In tamaam upkramo ke beech aapko kya lagta hai jitni bhi Videsh Neeti hai hamaari desh ki, 100 ya 165 desh ke baraabar, sirf hamaari urja, hamara samay Bharat Pakistan mein beetata hai. Kya hum aapse apeksha karenge, kya aapko lagta hai, ye jo sashakt Sarkar hai, aapka netratv hai, jaisa ki aapne example diya hai vishwa mein aap akele mantri hain jionhone twitter par kaam kiya hai aur logon ko prabhvit kiya hai. Bharat Pakistan ke rishton ke beech aisa koi thos sthayi samadhan nikalega, hum logon ke rahte, kyonki bachpan se sunte aa rahe hain, padhate bhi aa rahe hain, dekhate bhi aa rahe hain. Aisa kuch lagta hai ki ho sakta hai is paripeksh mein, kya iska samadhan hai ya nahi hai? Modi ji ke Sarkar mein aane se pahle baatein kahi gai aur aaj bhi hai. Sashakt Sarkar hai aur karne ki baat hai, uspar koi neeti hai, koi upaay hai, koi chintan hai, manan hai, manthan hai. Maine itni lambi bhumika di kyonki hum logon ko samajh to hai nahi bas samjhana chahte hain? Pravasi ko lekar 14 PBD hue, aaj tak single window system nahi hua jo un logon ka dard hai. Dhanyawad.

Question from Pioneer:
India Pakistan relationship, one step forward two step backward lagaa raha hai. How do you evaluate over the three years particularly this one year and do you still see there is hope for a peaceful future together?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Sabse pehle main Rakesh ji ke prashn se shuru karna chahungi, aapne kaha ki Videsh Mantralay ka sara samay, urja, parishram Pakistan par beetataa hai, to main yahan ye kahna chahungi ki Videsh Mantralay ka samay ya urja to utani nahi beetati, jitni media ki beetati hai aur uska ek pratyaksh udaahran yahan abhi aaya. Is se pehle US par sawal hue China par sawal hue lekin utni na urja usmein khatam hui na usmein utna samay kharch hua. Main aapko bata doon hamare liye Pakistan ek desh hai aur utna hi samay utni hi urja us par lagaate hain jitna ki baaki pramukh deshon par lagate hain aur isiliye abhi main jo videsh neeti ka ek khaka aap logon ke saamne kheencha usmein maine to Pakistan ka ullekh bhi nahi kiya. Maine to doosare deshon ki baat ki jinke saath hamare sambandh kaise chal rahe hain.

Jahan tak iske baad sawal aage aata hai Vineeta ka kyonki wo ek over-arching sawal hai uske baad main Astana ke sawal par bhi aaungi aur Jadhav ke sawal par bhi aaoungi. Aapne jo kaha ki one step forward two steps backwards, ise kabhi kabhi aap log flip-flop bhi kahte hain. Main aapko ye bata doon ki Pakistan ki taraf Bharat ki neeti samajhane ke liye teen baatein yaad rakhein. Bharat ne Pakistan ke saath apni videsh neeti ke teen khambhe taiyaar kiye hain. Pahla, hum baatcheet se har mudda suljhana chahte hain. Doosara, baatcheet kewal do pakshon ke beech mein hogi, kisi doosare samooh, kisi doosare desh, kisi doosari sanstha ki madhyasthata hum sweekar nahi karenge aur teesra, aatank aur baatcheet saath-saath nahi hongi.

Ye teen stambh hain aur main kahna chahungi poore media ko ki agar hamari poori teen varshon ki neeti Pakistan ke prati jo hui hai, jise utaar-chadaav kahte hain, main bhi utaar-chadhaav hi kahti hoon, agar aap in teeno par isko agar jaachenge to aapko ek consistency milegi. Baat-cheet ke liye hum taiyaar hain, ye apni Sarkar aane se pehle se, shapathgrahan samaaroh mein Pakistani Pradhan Mantri ko nyota dekar humne saabit kar diya.

Uske baad bhi 2 varsh tak mitrata ka haath aage badhaate rahe. Koi nahi soch sakta ki Modi ji ki Sarkar mein Modi ji ke vyaktitva ko jaante hue ki wo Pradhan Mantri Nawaz Sharif ke ek bulaave par Kabul se udkar Lahore chale jayenge, lekin ye out of the box initiative unhone liya ki aisi cheezein yaad rahti hain, ye gestures of goodwill hain, main inko bhi lekar aage jaaoon, lekin uske baad kya mila ek saptaah ke andar, Pathankot.

Aur abhi poochha bhi gaya Pathankot airbase ke baare mein ki kya ho raha hai, kuchh nahi ho raha. Aapne abhi shabd istemaal kiya ki investigation ataki hui hai, haan, ataki hui hai. Unhone kaha ki JIT bhejein to kya sahyog karenge, unhone JIT bheji humne sahyog kiya lekin uske baad kya? To hum one step forward two step backward nahi ja rahe, hamne teen kasautiyan tay kar dii Pakistan se apne rishte tay karne ke liye aur un teeno par lagaataar jo ghatna ghati aur jo hamara reaction hua usko jaanchiye wo in teeno mein kisi na kisi ek ke saath aapko judi hui milegi. Isliye koi flip-flop ya koi one step forward two step backward nahi hai.

Rahi Astana ki baat, kisi tarah ki koi mulaqat tay nahi hai, na unki taraf se na hamari taraf se. Kulbhushan Jadhav ka jo prashn hain main thoda sa vistaar se batana chahungi kyonki us sawaal ko aapne ICJ se jod kar poochha hai. Pehli baat to ye ki ICJ mein jo Pakistan kah raha hai ki main jurisdiction ka vishay uthaaunga, ek cheez hum samajh lein ki pahle humne provisional measure ke liye application di thi. Shayad provisional measure hum logon ko isliye samajh nahi aata ki hamare yahan us shabd ko ‘Stay’ kaha jata hai. Hamare yahan pahle application dalti hai ‘Interim Stay’ ki, jo ex-party bhi de diya jata hai, uske baad notice hota hair aur fir ‘Stay’ ki application lagti hai, fir ‘Stay’ de diya jaata hai agar case mei merit ho to. Uske baad asli case par aate hain. To jo hamein pahle mila, 8 ko hamne daayar ki aur 9 ko jo hamein mila wo interim stay tha, indication of provisional measure.

Uske baad 15 ko jo humne bahas ki wo provisional measure ke jurisdiction par ki aur usko unhone sweekar kiya aur sweekar kar ke humein, indication of provisional measure means granting of stay, de diya aur ye kaha ki Pakistan ne koi aashwasan nahi diya 150 din ke baad bhi. Unhone yahi kaha hai ki clemency jab tak hai uske 150 din bante hain, isliye hum ye nirnay dete hain ki pending final decision of this court yaani jab tak is court ka antim faisla nahi sunaya jaata tab tak Jadhav ko fansi nahi di jaa sakti, unhone Jadhav ki faansi par tab tak rok raga di.

Ab jo case aagey aayega wo aayega jurisdiction on the merit of the case aur jurisdiction on the merit of the case par bhi hamara case bahut strong hai jo nischit taur par hum wahan ladenge aur jeetenge. Jo aapne kaha ki Pakistan kahta hai ki wo Kashmir ko wahan le jaunga, Kashmir ko wo kisi tarah se ICJ mein nahi le ja sakta kyonki Kashmir ke upar Shimla Agreement aur Lahore Declaration bahut hi clear hain ki ye ek bilateral mudda hai aur dono desh aapas mein baithkar hi niptayenge. Jahan tak ye sawaal hai ki hum log wahan kyon gaye, hum Kashmir ko wahan nahi le gaye. Hamare bahut se mudde court mein Bharat aur Pakistan ke beech chal rahe hain. Shayad aapko maloom ho ki Hyderabad funds ka jo case hai wo Britain ki court mein chal raha hai. Bharat aur Pakistan ke beech hi chal raha hai.

Ye Indus Water Treaty ko lekar ke jo World Bank ki baat hai wahan bhi arbitration aur neutral expert ki baat hai to isliye hamare bahut se mudde aapas mein court mein suljhaye ja rahe hain, to ye bhi ek mudda hai kyonki ye Vienna Convention ki violation ka mudda hai jo hum lekar gaye hain, Kashmir ka mudda lekar nahi gaye hain. Kashmir mein hum bhi usi se bandhe hain jis se hum Pakistan ko kah rahe hain ki bandhe raho. Kashmir ka mudda kewal bilaterally hi suljhaya ja sakta hai lekin hum jo lekar ke gaye hain wo Vienna Convention ki violation ka mudda lekar gaye hain jismein consular access dena aavashyak nahi anivarya hai. Aur wahan unhone hamein provisional measures de kar ke ye raahat di hai, mujhe lagta hai parivaar ko to mili hi, desh ko bhi ye raahat mili hai ki jab tak is case ka jo hamne ICJ mein file kiya hai, antim nirnay nahi ho jaata tab tak Jadhav ko faansi nahi di ja sakti.

Question from Asian Age: you just spoke about success in diplomacy in West Asia, today you are confronted with a new challenge, the Saudi led alliance has snapped diplomatic ties with Qatar and while we are seeking, first I want to ask that what do you foresee the impact on India and we have been seeking Saudi investment and the investment from the UAE but you would know that Qatar also has indicated that it wants to invest in India, it wants to launch a domestic airline in India and it is also oil and gas rich. So where do we stand on this, are you confronted with another Israel – Iran or Saudi – Iran kind of thing and how will you balance this boat?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Hamare liye is sthiti se koi challenge ubhar kar nahi aaya. Ye GCCI ka aantarik maamla hai aur pehle bhi kai baar ho chuka hai. Jahan tak hamara sawaal hai, ismein kewal hai to itni hai ki hamara koi Bharatiya to ismein to nahi fansa hua hai kyonki unhone rok laga di hai jaane par. Agar koi bhi Bharatiya ruka hua hai to hum isko yahan le aayenge, isliye wo chinta bhi utni der ki ek baar hum pata laga rahe hain ki is ban ke baad aur ties snap karne ke baad koi Bharatiya in deshon mein nahi fansa hua hai.

Jahan tak Qatar ke saath investment ka sawal hai, Qatar ki airline ka sawaal ya baaki jo MoU hamare Qatar ke saath hue hain, unpar is se katai koi fark nahi padta kyonki jo aapne khud kaha ki Saudi aur Iran mein bhi to chhattees ka aankada hai lekin hum Iran ke saath bhi Chabahar kar rahe hain aur Saudi ke saath bhi hamare achhe rishte hain aur investment aa raha hai, to hamare apne hiton par ya hamare unke saath investment par kisi tarah ka koi asar is se nahi padta. Ye GCCI ka aantarik maamla hai aur pehle bhi kar chuke hain, ties hataa dete hain fir lagaaa dete hain, wo unka aantarik maamla hai aur hum kisi bhi tarah ka dakhal nahi dena chahenge par hamare hit kisi bhi tarah se ismein asurakshit nahi hue.

Question: Shuruaat mein aapne kaha ki hamare Arab countries se sabse jyada taalukkat Modi Sarkar ke hue aur ye do jo aapke mantri hain inhone ne bahut bada kaam kiya ki jo fanse log they unhe le aaye aur baat-cheet ki. Ab jo sabse sawaal hai ki 52-54 countries jo muslim hain, unmein hamare employees kaam karte they, unki naukri ko barkaraar rakhne ke liye, unke Saudi mein naye kanoon aayaa hai aur us par hamari embassy ne kaam kiya hai to ab kitne log waapis waha naukri mei chale gaye hain aur unke rozgar ke kya mauke hain?

Question from Hindustan Samachar News Agency:
Aapne abhi bataya ki pichhale teen saal mein aapki Sarkar ne 80000 sankat mein fanse Bharatiyon ko bachaya hai. Kya aap batayengi ki ismein Bharat Sarkar ne kitna kharch kiya hai, in teen salon mein. Aur kyonki baar-baar Videsh Mantralay ki advisories jaari karne ke bavjood log danger zone ja rahe hain aur fans rahe hain aur uske baat aap sab logo ko unke bachaane jana padta hai, Uzma uska ek udaahran hai, isliye kitna paisa kharch hua hai aur aage aisa na ho iske liye Sarkar aur aapka mantralay kya kar raha hai?

Question: Abhi aapne connectivity projects ki baat ki, Iran mein Chabahar port mein Bharak ka ek connectivity project chal raha hai lekin ismein tezi nahi dekhi ja rahi hai, iski kya wajah hai? Doosare bhi connectivity projects hain unmein bhi tezi nahi dekhi ja rahi hai, to aapki bhavishya ki kya yojnaayein hain?

Question from UNI: Recently the Iranians have been complaining that India is going slow on Chabahar project. How far is their complain genuine?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Jahan tak Saudi ka sawal hai, Saudi aur UAE do aise desh hai jahan hamare yahan se sabse jyada kaamgaar jaate hain. 29 se 30 lakh tak ka aankda Saudi ka hai aur 25 se 26 lakh ka UAE ka hai. Pichhe unki do badi comapaniyon mein samasya aayi thi, ek Saudi Ojar aur ek SAAD, aur dono ke baare mein jaise maine kaha ki banti hui jimmedari hai, Akbar saab ne baat ki thi aur uske baad jab VKS wahan gaye they to unhone khud ja kar ke baat ki thi.

Itna sahyog hamein mila waha Saudi ka jo main yahan kahna chahungi, maine parliament mein bhi kaha tha aur uske liye maine Pradhan Mantri ji ko dhanyawaad bhi diya tha ki aap itne achhe rishte bana ke aaye hain ki unhone ye kaha ki ye jo camps hain, sabse pehle ye camps hum sthapti karenge, khana inko hum khilaenge, safaai in camps ki hum karwaenge aur uske baad ye kaha ki do raste hain. Ek raasta hai ki ye doosari kisi company mein agar lagna chahte hain aur naukri milti hai to wahan inko lagwa do aur agar wapas jaana chahte hain to jahaaj bhi hum denge.

Is poori sahaayta ke chalet humne hazaron hazar log wahan se nikaale. Jo jana chaahte they doosari companiyon mein aur unki qualification ke mutaabik naukari mil gai, unko wahan naukri lagwaya aur baakiyon ko nikaal kar laaye aur ye charcha jaari hai ki abhi pichhe main Gulf ke Ambassadors ko bulaya tha aur unse ye aanklan karwaane ko kaha hai ki Oil ke prices kam hone ke kaaran, tel ki keemetein kam hone ke kaaran kaafi companiyan band ho rahi hain to aapka chantni ka kya aanklan hai. Kahin aisa na ho ki hum ekdum awaak rah jaayein ki itne log nikaal diye gaye. To wo bhi ek aanklan advance mein hi hum log plan kar rahe hain, jo main Gulf Ambassadors se kaha.

Aapne jo sawaal poochha to usmein sabse pahle main aapko ye bata doon ki Bharat Sarkar ka ek bhi rupya kharch nahi kiya. Hamara ek fund hota hai Indian Community Welfare Fund, ICWF aur usmein hamein itni choot hai ki agar jis desh se aap nikaal rahe hain agar us desh ke fund mein poora paisa nahi hai to doosare fund se bhi hum daal sakte hain. Iraq se hamne 7000 log nikaale, Libya se 3200 log nikaale, Yemen se 4000 log nikaale, us samay bhi is tarah se humne in chhote deshon ko bade deshon se fund transfer kiya tha, humne ek bhi paisa Bharat Sarkar se nahi liya lekin main aapse kahna chahti hoon ki ye maanviya samvedna ka kaam hai, ise paise se nahi taulna chahiye.

Aapne kaha ek udaahran Uzma hai, Uzma ki kya galti thi, ek visit visa lekar ke wahan milane gayi thi lekin kam se kam aaj mujhe Santosh hai is baat ka ki wahan baith kar agar usne kisi ko ghar se door ghar maana to Indian embasaay ko maana. Usko andar se ek hausla tha ek vishwas tha ki main agar Indian embassy jaungi to mujhe wahan sharan bhi milegi aur suraksha bhi to isliye ye kahna ki aapne kitna paisa kharcha. Humne budget se nahi liya magar main ek kadam aagey badhkar kahna chahungi agar ICWG khatm ho jaye uske andar paisa khatm ho jaye aur log stranded ho to Bharat Sarkar se budget se lekar bhi hum unko nikal kar ke laayenge, ye hamari commitment hain unke prati.

Question from Aaj Tak: Aatank ko paisa na mile ye ek badi praathmikta hai lekin is samay sthiti ye hai ki Hurriyat ko Pakistan se paisa mil raha hai ki wo Kashmir mein school jalaaye, upadrav kare, patharbaaji ho. Isko rokne ke liye Sarkar kya kar rahi hai ki Pakistan aatankwaadi to bhej hi raha hai, paise bhi bhej raha hai aur internet par bhi aatankwaad faila raha hai?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Dekhiye waise to aapka ye sawaal Gruh Mantralay ka hai aur Rajnaath Singh ji is par jawaab dete rahte hain. Jo baat aapne kahi hai, pichhe bayaan bhi aaya tha kisi aatankwaadi ka jisne kaha tha ki humko Pakistan se paisa mil raha hai aur uski jaanch Gruh Mantralay kar raha hai ye main aapko batana chahungi.

Jo do sawaal aaye Chabahar ke ki aapne jo kaha ki gati dheemi hai. Gati dheemi thi, hai nahi. Kyonki gati dheemi thi iski shikaayat bhi aai jo aapne kaha ki shikaayat hai, wo sikaayat genuine thi, lekin saare ke saare mudde suljhaa liye gaye hai gati tez ho gai hai aur ab Chabahar apne aap mein wo jo sapna tha wo saakaar hokar rahega, ab dheemi gati ki koi baat nahi hai.

Ek aapne ye bhi saath mein jod diya ki baaki connectivity projects bhi dheeme hain to wo bhi main aapko bata doon ki baaki connectivity projects dheeme they, hain nahi. Pradhan Mantri Ji ne ek mechanism, ek tantra banaya hai ki har teen mahine par jo projects Bharat dwara kiye jaa rahe hain unki sameeksha main karoon aur har 6 mahine par wo sawaym unki sameeksha karein. Ye silsila jab se shuru hua hai, har ek ya dedh mahine par FS le lete hain review kyonki unhe mere saamne aana hota hai sameeksha ke liye aur teen mahine baad main sameeksha kar leti hoon, fir 6 mahine par Pradhan Manri sameeksha karte hain. To jab se ye sameeksha ka kaam shuru hua hai tabse unmein se ek bhi project na atka hua hai, na dheema chal raha hai.

Question from Republic TV: The Prime Minister has recently said that there is only one country in the neighborhood which is exporting terror. We saw a gruesome attack in Kabul recently, more than 80 people were killed. The Afghanistan government blamed the Hakkani group backed by the ISI for the same. India has always a victim of cross-border terror. How would we now want the new US President to address this issue of cross border terror and terror in the neighborhood? How is this going to figure in the talks with the US President?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Dekhiye ye ek badaa sawal hai, aap ise sankuchit kar ke US President tak na laayein to behtar hai. Har jagah, koi bhi international forum aisa nahi hai jis par hum logon ne cross-border terrorism ka maamla nahi uthaya ho. Yahan tak ki Dubai ki yatra mein, Saudi ki yatra mein jo joint statements nikale wo sab cross-border terrorism ke khilaaf nikale hain. To hum globally baat karein aur ab jo hamne baat karni shuru kari hai, abhi Prime Minister Germany ho kar aaye hain, wahan bhi unhone jo baat ki, Spain mein bhi jo baat ki, France mein bhi jo baat ki aap Pakistan ko Bharat ke prism se mat dekhiye, hum saksham hain, hum apne maamle swayam sambhaal lenge lekin aap ye dekhiye international terrorism mein kisi ke taar Pakistan se judate hain.

Osama kahan miley, seedhe Osama ke taar Pakistan se judate hain. Saudi Arab mein aatankwaad hua, taar kahan judey, to hamein apni chinta nahi hai. Hum global community ko, international community ko ye kahna chaahte hain ki agar aap waakai terror ko ek threat maante hain and threat not to your country but threat to humanity, agar aap maanavta ke prati isko ek threat maante hain, khatra maante hain to fir miljul kar tai kariye aur usmein hum baar-baar aagrah kar rahe hain ki CCIT i.e. Comprehensive Convention on International Terrorism, jo Bharat ne 1996 mein diya tha, tab log isko law & order ki situation maan kar ke chhod dete they. Aaj samay aa gaya hai us CCIT ko conclude karne ka aur define karne ka, jismein wo saari cheezein aati hain ki jo terror ko finance karta hai, jo terrorist ko sharan deta hai, jo terrorist ko hathiyaar deta hai wo sab usi category mein aata hai jismein terrorist swayam aata hai.

Question from NDTV: Ek chhota sa clarification hai aur uske saath ek sawaal hai. Pradhan Mantri Narendra jab Decembar mein Lahore gaye they tab kya wo Nawaz Sharif ki taraf se aaye nyota that ya Pradhan Mantri Modi ne khud apani taraf se badi pahal ki thi? Ye clarification chahiye aur doosara ye ki kya is tarah ka koi nyota fir se aata hai to Pradhan Mantri fir se badaa dil dikhaayenge aur wahan jaayenge, kyaa aap unko is baare mein protsaahit karenge kyonki Heart of Asia mein jaa kar khud aapne ek badaa maanviya sambandh jodane ka kaam kiyaa tha?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Dekhiye jahan taka aapne ye poochha ki clarification chahiye ki bulave pe gaye they ki apne aap gaye they, main aapko bahut saaf bata doon, jab Pradhan Mantri Kabul mein they 25 December ko Nawaz Sharif ka janmdin tha. Unhone unko badhaai di thi. Us par Nawaz Sharif ne kaha ki aap Kabul mein hain aur Delhi jaa rahe hain, Lahore raste mein padta hai. Kyon nahi aap Lahore aate, mera janmdin to hai hi, mere ghar mein meri beti ka ek function bhi hai. Beti ki beti yaani naati ka roka tha, milani jise kahte hain. To unhone usko honor kiya tha aur uske liye gaye they, isliye ye kahna ki wo apne aap ud kar chale gaye, bina kisi ke bulaave par chale gaye ye sahi nahi hai, to ye clarification aap le lijiye ki janmdin ki badhaai ko sandesh diya tha us par unhone ye bulava diya gaya tha.

Baaki jo aapne kaha Heart of Asia, Heart of Asia mein main gai thi to Comprehensive Bilateral Dialogue shuru kar ke aai thi, ye 9 December ko hua. 25 December ko Pradhan Mantri gaye aur uske baad naye saal ki shuruaat Pathankot se ho gai, to kya badali hui paristhitiyon kaa aap sangyaan nahi lenge, kya aaj wahi paristhiti hai. Uske baad Kulbhushan Jadhav ho gaya, Burhan Wani ko swatantrata senaani kaha gaya. Ek Hizbul Commandar ka mukhiya, ek inaami aatankwaadi aur jis par inaam humne nahi hamaari poorv ki Sarkar ne rakha ho usko shaheed ki sangya di, to aaj wo 9 December wale Heart of Asia ke haalat hain kya?

Aap jo baat kah rahe hain maanviya sambandh, maanviya sambandhon ke liye koi maanviya dharaatal bhi chahiye. Maanviya sambandhon ke liye koi achhha watawarn bhi chahiye kya wo vatavaran aaj hai?

Question: The issue of fishermen arrest, killing of fishermen and seizure of fishing boats between India and Sri Lanka has dragged on for several years. So what is the permanent solution for this fishermen issue? Tamil Nadu government is continuously urging the center for deal of katchateevu for a permanent solution of the fishermen issue, do you think at this stage retrieval of katchatevu is possible? And my second question is when Kerala fisherman is killed by Italian navy, this issue is being taken up by Italian government but when Tamil Nadu fisherman is killing (killed) by Sri Lankan navy Indian government is taking it just like that. Recently a Tamil fisherman was killed by Sri Lankan navy and Sri Lankan navy denied request for a thorough investigation in the matter. I'd like to know what is the present status of investigation in this issue. That's it.

Official Spokesperson, Shri Gopal Baglay: Does anyone else have a related question, on Sri Lanka or Sri Lanka related?

Question from News Rider: It's on the same Tamil fishermen issue, for many years we have this issue of international maritime boundary where Sri Lanka is always alleging India and arresting Indian fishermen so when we can expect end for this India do arrest Sri Lankan fishermen sometimes but Sri Lanka is always arresting.

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Vanakkam, sabse pehle mujhe apatti hai ki aap Keral ke fishermen aur Tamil Nadu ke fishermen kah rahe hain, mere liye woh Indian fishermen hain. Woh mere liye Keral ke fishermen aur Tamil Nadu ke fishermen nahin hain. Aur ye baat main baar baar kehti hoon ki ye Bhartiya Machhuare hain. Aur ek cheej aapko bata doon ki Tamil Nadu government to urge kar hi rahi hai lekin Bharat Sarkar, Bharat ki Kendra Sarkar Sri Lanka ke saath is baare mein lagatar baat karke is samasya ka sthayi samadhan nikalna chahti hai.

Aur aapko ye bhi bata doon ki aaj se pehle ye kabhi bhi nahin hua, humne is issue ko itna seriously liya hai, humne is issue ko itna seriously liya hai ki pehle baar do minister Sri Lanka se aur do minister Bharat se, unke foreign minister aur unke fisheries minister, yenha se main as foreign minister aur Radha Mohan Singh as fisheries minister, ikatthe kewal fishermen ke issues per baithe. Aur usme se humne ye rasta nikala, ki ek to iska sthayi samadhan hai deep sea fishing, jiske liye humne unko kaha ki iske liye Rs 1500 crore ka package Bharat Sarkar ne taya kiya hai. Teen saal ka period hai. 500 crore, 500 crore har varsh kharch kar ke hum deep sea fishing ki taraf jayenge aur isme isiliye hum aapse kehte hain ki interim arrangement kar dijiye ki fishermen maare nahin jayen, fishermen pakade nahin jayen.

Janha tak maarne ka sawal hai ki ek ye durbhagyapurna ghatna hui, usase pehle agar aap poora teen saal ka period dekhenge to ek bhi fisherman ki mrityu nahin hui knyoki humne ye keh rakha tha ki kisi bhi keemat per goli acceptable nahin hogi. Aur ye jo ghatna hui uski jaanch chal rahi hai.

Sri Lanka ke president ne swayam apni or se kaha hai, unhone usko condemn bhi kiya hai aur saath hi ye bhi kaha hai ki hum iska apni taraf se investigation bhi karenge. Jahan tak Kerala ke fishermen ka sawal hai, woh seedhe-2 hatya ki ghatna thi, usko hum log court mein lekar gayen hain, court mein chal raha hai, lekin ye jo maamla hai ki Kerala ke fisherman aur Tamil Nadu ke fisherman ko aap antar kar ke dekhein, ek bhi hatya isase pehle nahin hui humaare teen saal ke karyakal mein, pehli hui has jisko hum bahut seriously le rahe hain.

Aur aapne jo baat ki saath mein Kachch Deev ki, jo aapne Kachch Deev ki baat ki to main aapko bata doon ki Kachch Deev ka maamla Supreme Court mein sub-judice hai. Aur isi liye uske upar koi tippani main kar nahin sakti.

Aur aapne jo sawal pooncha, same sawal pooncha, jo sawal pehle poocha gaya, aapne wahi exactly same sawal Tamil Nadu fishermen ke baare mein poocha to maine aapko bata diya ki humare liye bahut primary importance ka maamla hai. Bahut Uchch Prathmikta ka maamla hai aur iska sthayi samadhan humne deep sea fishing mein khoj liya hai, per interim arrangement humara ho jaye iske liye ek mechanism banaya us meeting mein se ki har 6 mahine per fishering minister vaapas mila karenge. Aur har teen mahine per jo ek joint working group bana hai woh mila karega. Mujhe lagta hai ki jo interim arrangement mein se bhi koi achchi cheej nikal kar ayegi.

Question from The Hindu: One year ago which was the last time when you held a press conference, you had spoken about the India's chances about Nuclear Suppliers' Group just ahead of the plenary at that time you had said that a consensus is building in India's favour, you were hopeful that China would change its mind, subsequently the MEA had put out a statement saying that one country, only one country had consistently stopped India's chances at NSG. The question is that in this one year that has elapsed, have our chances progressed at all, because there is another NSG plenary session coming up this month.

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj:
Suhasini, waise to main NSG per jawab de chuki hoon, ek sawal is per pehle aaya tha, lekin main aapko ye bata doon ki ye lagatar prayas ki cheej hai, ye aaj se shuru nahin hui, ye poorv ki sarkaron mein bhi bees-tees saal pehle se shuru hui hai, lekin pichchli baar ka jo prayas tha, waisa prayas pehle kabhi nahin hua, ki jahaan Pradhan Mantri Ji ne swayam apne samkaksha logon se baat ki, maine bhi baat ki, to yeh prayas jaari rahega, aur isme hum doosri cheej ye apna rahe hain ki hum to China ko engage kar hi rahe hain, unko ye samjha he rahe hain jo dono batein maine batayin ki 2008 ke agreement ke baad humein credential par milni chahiye membership, criteria par nahin, aur Non-NPT member ka humne unhe France ka udaharan bhi diya, lekin ab hum ye chah rahe hain ki jo humare mitra desh hain aur jinke China ke saath bhi achche sambandh hain, woh bhi China ko manwane ka prayas karein. Aaj nahin to kal, kal nahin to parson, kamyabi milegi, bas yehi keh sakti hoon ki 'Hum honge kamyaab ek din'.

Official Spokesperson, Shri Gopal Baglay:
Ab hum logon ke paas samay bahut kam bacha hai, in fact, ek ghanta almost ho chuka hai

Question from freelance journalist: Although the Prime Minister Narendra Modi has assured that during his tenure and Hasina Ji's tenure the Teesta agreement will be solved, but there is tremendous apprehension in Bangladesh, in the minds of people of Banglaesh and as well as our impression is in the minds of the government that this may not be taking place as Mamata ji, Mamata Banerjee, she has given first an alternate proposal that in lieu of Teesta , take the water of Tosha and other rivers, and secondly she has made, when she last met the Prime Minister, she has given the names of four Bangladeshi rivers that come to India and then went back to Bangladesh, their waters are stalled, can you give the answer because when by this time next year when you hold a press conference Bangladesh will be preparing for the elections. Can you assure again that it will be solved by that time? Thank you.

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Dekhiye sabse pehle to main jo aakhiri khand hai aapka usase shuru karoon, aisi cheejon ke liye samayawadhi taya nahin ki ja sakti hai. Main kahoon ki agli press conference mein main kahoongi ke Teesta solve ho gaya, koshish bharpoor jari hai, lekin aapko yeh bhi maloom hai ki West Bengal chief minister ko on board lena bhi avashayak hai, aur aapki ye jaankari bilkul sahi hai ki unhone jab Sheikh Hasina ji ayeen thee to ek vakalpik prastav, ek alternative proposal diya hai, jismein teen nadiyon ke naam diye hain ki inse bhi paani diya ja sakta hai.

Main aapko bataun hum uski bhi feasibility study kara rahe hain, aur uske feasibility study ki report bhi Mamata Ji se share karenge, baith kar baat karenge, lekin mujhe ye lagta hai ki jab tak hum aapsi charcha se iss per nahin panhuch jaate ki kendra sarkar, rajya sarkar aur Bangladesh, teenon ki ek sehmati aapsi ban jayegi, aakhirkar land boundary agreement bhi bani na, kitne kitne varsha chala maamla lekin bani, to main bahut hi ashanvit hoon ki Teesta par bhi agreement hoga, sehmati banegi, magar kab banegi uski koi avadhi main taiya nahin kar sakti.

Question for Millennium Post: My question is related to Bangladesh, when Mamata Ji met PM, she gave a memorendum which she released later on, there is another issue mentioned that Bangladesh has imposed additional import duty on the export of mangoes from West Bengal, so whether do you thin this anti-dumping duty imposed by Bangladesh on West Bengal export and would you take up all these issues with Bangladesh?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Dekhiye Mamata Ji ke sare jo concerns hain, hum log unko under consideration bhi rakhte hain, uske upar dhyan be rakhte hain, usko examine bhi karwate hain, toh jo memorendum woh dekar ke gayin hain woh under examination hai, examination ke baad jo bhi uska arth nikalega, aur jo bhi hum kar sakenge unki madad ke liye, jaroor karenge.

Question from India Today: My question is, just picking up from Kabul attack, in which Afhgnaistan agencies have said that it was backed by ISI, replying to that, in fact, Pakistan has said that Afghanistan is under pressure from India and they have also said that Iran understands Pakistan's position. My question is that what sort of cooperation have we got from Iran vis-a-vis terrorism emanating from Pakistan and also how have they helped us in Kulbhushan Jadhav case?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Nahin, Janha tak Pakistan ka ye kehna hai ki India ke pressure mein Afghanistan ye kah reha hai, woh apne aap mein niradhaar hai isliye aage ka aapka jo sawal hai woh, uska jawab to banta hi nahin hai.

Question from Samwad Sunday: Madam haal ke varshon mein kaafi teerth yatri Pakistan se, Hindu, Sikh aur Sindhi, badi sankhya mein aate hain, aur short term visa per aate hain, aur jab unka visa khatm ho jata hai to unko bahut buri tarah bartav karke sarkar vaapas bhej deti hai, parson Rajnath Ji ne bhi kaha jo December 2014 tak jo log aa gaye hain unki citizenship par hum vichar kar rahen hain ki unko sthayi citizenship mile, ki madam jo lagatar aa rahe hain unke liye sarkar ki kuchch narmi hai? Knyoki wahi humare Hindus hain, Sikh hai aur kai is tarah ki community ke aa rahe hain to kya unhe long term visa, instead of short term visa, long term visa de dein, aur unke citizenship issue ko decide karein?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj:
Dekhiye jo teerth yatri ban ke ata hai aur jo sharnarthi ban ke ata hai dono mein fark hai, teerth yatri wanha se ek chhoti avadhi ka visa lekar hi ata hai, knyoki woh vaapas jana chahta hai aur rehna wanha chahta hai, jo refugee ban ke aata hai who Pakistan ko chhor aata hai aur fir yanha aata hai uske liye long term visa ki policy bani hai. Pehle do saal ka dete hain, fir paanch saal ka dete hain, fir saat saal ka dete hain, aur saat saal ke baad nagarikta dete hain. Lekin jo kewal ghoomne-firne aata hai, kewal teerthathan ke liye aata hai aur vaapas jana chahta hai usko aap long term visa kaise de sakte hain. Ye choice to usko karni hai ki woh yenha woh, woh desh chhor kar persecuted minority ke naam per aa raha hai, ya yenha kewal shraddha ke naate teerth karne aa raha hai. Agar woh shraddha ke naate teerth karne aa raha hai to swayam short term visa apply kar raha hai to aap thode hi thop sakte hain uspe ki hum tujhko long term visa hi denge. Leking jo sharnarthi ban ke aa raha hai aur ye kah reha hai ki main persecuted hoon, uss persecuted ko hum long term visa de rahe hain aur uske liye bahut achchi neeti Bharat Sarkar ne banayi hai.

Question: Ma'am, the Prime Minister Modi is yet to visit Maldives, he is three years into his tenure, so does the fact that he hasn't been there so far indicate India's continuing unhappiness over the political situation in Maldives?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Maldives, Saarc ka ek desh hai, Saarc ke saato desh main aur pradhan mantri milkar kar aye hain. Isliye Maldives chhoota nahin hai, meri yatra ho chuki hai to hum log yehi dekhte hain ki kaun sa region hum logo ne mil ke cover kar liya hai, toh Saarc ke saaton desh cover ho chuke hain aur Maldives ki yatra mein nahin jana hai aisa koi nirnaya nahin hai.

Question from Samachar Post: Madam, Burma se bahut saare Rohingya refugees cross karke India aye hain. Jisme 15 hazar se 20 hazar tak Jammu mein aake bas gaye hain. Jammu mein pichchle do mahine se unke vaapas jaane ke liye agitation chal rahi hai. Kya aapki sarkar, Burma sarkar se unke vaapas bhejne ka uthayeni?

External Affairs Minister, Smt. Sushma Swaraj: Iss mamale ko grih mantralaya dekh raha hai.

Official Spokesperson, Shri Gopal Baglay: Aap sab ka bahut - bahut dhanyawad.

(Concludes)
Write a Comment Write a Comment
Comments

Post A Comment

  • Name *
    E-mail *
  • Write Your Comment *
  • Verification Code * Verification Code